Aaj konsa day hai 7 feb to 21 feb days list and Valentine’s Week List 2024 Dates for Love Week: Hello dear! February days list 2024 ke iss vishesh article me aapka swagat hai. February love days se bhara hua month hai aur isme ek ke bad ek bahut hi special days february ke mahine me aate rahete hai.
|
Aaj konsa day hai |
Har saal February month me valentines day aata hai isi liye February pure saal me sabse special month mana jaata hai. February love days pure 15 dino tak manaye jate hai. Ji ha! Aapne sahi padha ki valentine's day list 2024 pure 15 dino tak chalta hai yani ki pure do week.
To iss article me ham usi february special days ki baat karne vale hai. Valentine week 2024 me sabse pehla kaun sa day celebrate kiya jayega or ek ke bad ek kaun se special days manaye jayenge uska pura list aapko is post me mil jayega.
Is post ko pura padhane ke baad aap ko yh bhi pata chal jayega ki aaj kon sa day hai. Iske sath sath aapko yeh bhi pata chal jayega ki aane vale kal kaun sa day hai.
|
7 Feb to 21 Feb days list, valentine's day list 2024 |
February Days List 2024
Jaise ki hamne aapko pahele bataya ki February love days 15 dino tak aate hai. Ye sabhi dinoko ham 2 valentine week ke rup me divide kar sakte hai. Jo pahela week hai use ham valentine week or doosre week ko anti valentine week kahte hai.
Is post ko pura padhane ke baad aapko pata chal jayega ki aaj february days 2024 valentine week ka kaun sa din hai. Aaiye to ab najar dalte hai pahele valentine week ke upar.
Valentine Week 2024
To chaliye ab dekhate hai days of valentine week ko. Har saal Valentine's week Rose day se shuru hota hai or Valentine's Day se khatam hota hai. In pure saptah me alag alag love days celebrate kiye jate hai.
Valentine week ke sabhi dino ko ese ek ke baad ek liya gaya ho mano koi pyar ka saptarangi megh dhanush.
Isi rainbow ki shuruat 7 February Rose day se hoti hai or 14 February ko Valentine's day par khatam hoti hai. Aaiye pahele najar dalte hai ki valentine week me kitne or kaun se din hote hai.
Check complete Days of Valentine Week:
- Happy Rose Day: 7 February, Wednesday.
- Happy Propose Day: 8 February, Thursday.
- Happy Chocolate Day: 9 February, Friday.
- Happy Teddy Day: 10 February, Saturday.
- Happy Promise Day: 11 February, Sunday.
- Happy Hug Day: 12 February, Monday.
- Happy Kiss Day: 13 February, Tuesday.
- Happy Valentine's Day: 14 February, Wednesday.
Hamne dekh liya hai ki valentine week me kaun se din hai ab chalo ek ke baad ek sabhi days ke taraf najar dalte hai.
To valentine week ki shubh shuruat hoti hai Rose day celebration se. Ji ha, Rose day valentine week ka sabse pahela din hai. Agar aapko bhi janna hai ki rose day kab hai to hm batade aapko ki rose day 2024 me 7 feb ko manaya jayega. 7 feb 2024 ko Wednesday yani ki Budhvar ko hai.
2) Happy Propose Day 2024 : 8 feb ko kya hai
Rose day ke celebration ke baad aapke dil me sawal aa raha hogi ki 8 february ko kaun sa day hai. To iska javab hai propose day. Ji ha, Propose day 8 february ko manaya jata hai. Agar aapka rose day achha gaya hai to ummid hai ki aap ka propose day 2024 bhi acha rahega. 8 February 2024 ko Thursday yani ki Guruvar hai.
3) Happy Chocolate Day 2024 : 9 feb ko kya hai
To propose day ke baad kya aata hai? Agar aapka proposal accept ho chuka hai to bari hai munh mitha karne ki. To 9 feb ko aata hai chocolate day taki aap khud ka or partner ka munh mitha kar sake. Chocolate day 2024 me Friday yani ki Shukravar ko manaya jayega.
4) Happy Teddy Day 2024 : 10 feb ko kya hai
To hamane celebrate kar liya teddy day. Ab bari aati hai agle valentine week day ka. To next aata hai Teddy day. Ji ha teddy ham sabhi ko bahut hi cute lagate hai or chocolate day ke bad teddy day celebrate kiya jata hai. 2024 Teddy day Saturday yani ki Shanivar ko manaya jayega.
5) Happy Promise Day 2024 : 11 feb ko kya hai
To teddy day ke bad bari aati hai promise day celebration ki. Ek dusre ko sabhi halat me sath me rahene ki promise karne ka day hai promise day. 2024 mai promise day Sunday yani ki Ravivar ko manaya jayega. To ab aapko pata chal gaya hoga ki promise day 2024 me kab hai.
6) Happy Hug Day 2024 : 12 feb ko kya hai
To promise day ke baad aati hai ek doosre ko gale lagane ki or isi kadi me judta hai hug day ka celebration. Hug Day 2024 me 12 feb ko manaya jayega or us din Monday yani ki Somvar hai.
7) Happy Kiss Day 2024 : 13 feb ko kya hai
Hmare dil me kai bar saval aata hai ki kiss day kab aata hai ya fir kiss day 2024 me kab manaya jayega. To iss bat ka jawab hai ki hug day ke celebration ke baad kiss day celebrate kiya jayega. Is bar kiss day 2024 me Tuesday yani ki Mangalvar ko manaya jayega.
8) Happy Valentine's Day 2024 : 14 feb ko kya hai
Kiss day 2024 ke celebration ke baad aati hai sabse bade din yani ki valentine's day ki. Valentine's week ka aakhiri din raheta hai valentines day. Is bar 2024 me valentine's day Wednesday yani ki Budhvar ko manaya jayega. Iske bad anti valentine week ka celebration start ho jata hai.
Anti Valentine Week 2024
Valentine Day khatam hone ke baad fir aata hai vo pura week jo shayad hi kisi pyar karne vale ko achcha lagega. Kyun ki valentine week ke baad aa raha hai anti valentine week.
15 February se Slap Day celebration se anti valentine week ki shuruat hoti hai jo 21 February ko breakup day ke celebration se khatam hoti hai. Aaiye najar dalte hai anti valentine days ke pure list ke upar.
Check complete Days of Anti Valentine Week:
- Happy Slap Day: 15 February, Thursday.
- Happy Kick Day: 16 February, Friday.
- Happy Perfume Day: 17 February, Saturday.
- Happy Flirting Day: 18 February, Sunday.
- Happy Confession Day: 19 February, Monday.
- Happy Missing Day: 20 February, Tuesday.
- Happy Breakup Day: 21 February, Wednesday.
At the end: To dosto yah thi complete February days List 2024 ke liye. Aapko yh post kaisa laga ye hme jarur bataye. Aap hamse or bhi kuch jankari chahte ho to hame contact jarur kare.
Is website par ham love or friendship se judi bahut sari posts regular dalte rahenge to is website ke upar regular aate rahena. Aap happy valentines day 2024 images ke liye hame jarur follow kare.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें